waada-e-wasl aur vo kuchh baat hai | वादा-ए-वस्ल और वो कुछ बात है

  - Ameer Minai

waada-e-wasl aur vo kuchh baat hai
ho na ho is mein bhi koi ghaat hai

khalk naahak darpy-e-isbaat hai
hai dehan us ka kahaan ik baat hai

bosa-e-chaah-e-zankhadaan gair len
doob marne ki ye ai dil baat hai

ghar se nikle ho nihatte waqt-e-qatl
ye bhi bahr-e-qatl-e-aashiq ghaat hai

main ne itna hi kaha banwaao khat
ye bigarne ki bhala kya baat hai

b'ad muddat bakht jaage hain mere
baithe hain sone ko saari raat hai

kya karoon vasf-e-butaan-e-khud-pasand
in se badh kar bas khuda ki zaat hai

baaton baaton mein jo main kuchh kah gaya
hans ke farmaane lage kya baat hai

harf-e-matlab saaf kah saka nahin
hai adab maane ki pehli raat hai

mujh se ho izhaar-e-ulfat waah-wa
aap ke farmaane ki ye baat hai

ro rahe hain ham mila de lab se lab
may-kashi ho saaqiya barsaat hai

zach hai teri chaal se raftaar-e-charkh
mohr-e-rukh se baazi-e-mah maat hai

kaisi kattee hai siyah-bakhti mein umr
raat se din din se bad-tar raat hai

chhedta hai dil ko kya ai dard-e-hijr
khud giraftaar-e-hazaar-aafaat hai

ai ghani de seem-o-zar waqt-e-bala
maal-e-duniya jaan ki khairaat hai

gar jagah dil mein nahin phir is se kya
ye doshambe ki ye budh ki raat hai

saaf kah de tu yahan aaya na kar
yaar ye sau baat ki ik baat hai

lakht-e-dil hain mere khaane ko ameer
bas inheen tukdon pe ab auqaat hai

वादा-ए-वस्ल और वो कुछ बात है
हो न हो इस में भी कोई घात है

ख़ल्क़ नाहक़ दरपय-ए-इसबात है
है दहन उस का कहाँ इक बात है

बोसा-ए-चाह-ए-ज़नख़दाँ ग़ैर लें
डूब मरने की ये ऐ दिल बात है

घर से निकले हो निहत्ते वक़्त-ए-क़त्ल
ये भी बहर-ए-क़त्ल-ए-आशिक़ घात है

मैं ने इतना ही कहा बनवाओ ख़त
ये बिगड़ने की भला क्या बात है

ब'अद मुद्दत बख़्त जागे हैं मिरे
बैठे हैं सोने को सारी रात है

क्या करूँ वस्फ़-ए-बुतान-ए-ख़ुद-पसंद
इन से बढ़ कर बस ख़ुदा की ज़ात है

बातों बातों में जो मैं कुछ कह गया
हँस के फ़रमाने लगे क्या बात है

हर्फ़-ए-मतलब साफ़ कह सकता नहीं
है अदब माने कि पहली रात है

मुझ से हो इज़हार-ए-उल्फ़त वाह-वा
आप के फ़रमाने की ये बात है

रो रहे हैं हम मिला दे लब से लब
मय-कशी हो साक़िया बरसात है

ज़च है तेरी चाल से रफ़्तार-ए-चर्ख़
मोहर-ए-रुख़ से बाज़ी-ए-मह मात है

कैसी कटती है सियह-बख़्ती में उम्र
रात से दिन दिन से बद-तर रात है

छेड़ता है दिल को क्या ऐ दर्द-ए-हिज्र
ख़ुद गिरफ़्तार-ए-हज़ार-आफ़ात है

ऐ ग़नी दे सीम-ओ-ज़र वक़्त-ए-बला
माल-ए-दुनिया जान की ख़ैरात है

गर जगह दिल में नहीं फिर इस से क्या
ये दोशम्बे की ये बुध की रात है

साफ़ कह दे तू यहाँ आया न कर
यार ये सौ बात की इक बात है

लख़्त-ए-दिल हैं मेरे खाने को 'अमीर'
बस इन्हीं टुकड़ों पे अब औक़ात है

  - Ameer Minai

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari