ham jo mast-e-sharaab hote hain | हम जो मस्त-ए-शराब होते हैं

  - Ameer Minai

ham jo mast-e-sharaab hote hain
zarre se aftaab hote hain

hai kharaabaat sohbat-e-waiz
log naahak kharab hote hain

kya kahein kaise roz o shab ham se
amal-e-na-sawaab hote hain

baadshah hain gada gada sultaan
kuchh naye inqilaab hote hain

ham jo karte hain may-kade mein dua
ahl-e-masjid ko khwaab hote hain

wahi rah jaate hain zabaanon par
sher jo intikhaab hote hain

kahte hain mast rind-e-saudaai
khoob ham ko khitaab hote hain

aansuon se ameer hain rusva
aise ladke azaab hote hain

हम जो मस्त-ए-शराब होते हैं
ज़र्रे से आफ़्ताब होते हैं

है ख़राबात सोहबत-ए-वाइज़
लोग नाहक़ ख़राब होते हैं

क्या कहें कैसे रोज़ ओ शब हम से
अमल-ए-ना-सवाब होते हैं

बादशह हैं गदा, गदा सुल्तान
कुछ नए इंक़लाब होते हैं

हम जो करते हैं मय-कदे में दुआ
अहल-ए-मस्जिद को ख़्वाब होते हैं

वही रह जाते हैं ज़बानों पर
शेर जो इंतिख़ाब होते हैं

कहते हैं मस्त रिंद-ए-सौदाई
ख़ूब हम को ख़िताब होते हैं

आँसुओं से 'अमीर' हैं रुस्वा
ऐसे लड़के अज़ाब होते हैं

  - Ameer Minai

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari