dil juda maal juda jaan juda lete hain | दिल जुदा माल जुदा जान जुदा लेते हैं

  - Ameer Minai

dil juda maal juda jaan juda lete hain
apne sab kaam bigad kar vo bana lete hain

ho hi rehta hai kisi but ka nazaara ta-shaam
subh ko uth ke jo ham naam-e-khuda lete hain

majlis-e-waaz mein jab baithe hain ham may-kash
dukhtar-e-raz ko bhi pahluu mein bitha lete hain

aise bose ke evaz maangte hain dil kya khoob
jee mein sochen to vo kya dete hain kya lete hain

apni mehfil se uthaaye hain abas ham ko huzoor
chupke baithe hain alag aap ka kya lete hain

but bhi kya cheez hain allah salaamat rakhe
gaaliyaan de ke ghareebon ki dua lete hain

shaakh-e-marjaan mein jawaahar nazar aate hain ameer
kabhi ungli jo vo daanton mein daba lete hain

दिल जुदा माल जुदा जान जुदा लेते हैं
अपने सब काम बिगड़ कर वो बना लेते हैं

हो ही रहता है किसी बुत का नज़ारा ता-शाम
सुब्ह को उठ के जो हम नाम-ए-ख़ुदा लेते हैं

मजलिस-ए-वाज़ में जब बैठते हैं हम मय-कश
दुख़्तर-ए-रज़ को भी पहलू में बिठा लेते हैं

ऐसे बोसे के एवज़ माँगते हैं दिल क्या ख़ूब
जी में सोचें तो वो क्या देते हैं क्या लेते हैं

अपनी महफ़िल से उठाए हैं अबस हम को हुज़ूर
चुपके बैठे हैं अलग आप का क्या लेते हैं

बुत भी क्या चीज़ हैं अल्लाह सलामत रक्खे
गालियाँ दे के ग़रीबों की दुआ लेते हैं

शाख़-ए-मर्जां में जवाहर नज़र आते हैं 'अमीर'
कभी उँगली जो वो दाँतों में दबा लेते हैं

  - Ameer Minai

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari