guzar ko hai bahut auqaat thodi | गुज़र को है बहुत औक़ात थोड़ी

  - Ameer Minai

guzar ko hai bahut auqaat thodi
ki hai ye tool qissa raat thodi

jo may zaahid ne maangi mast bole
bahut ya qibla-e-haajaat thodi

kahaan guncha kahaan us ka dehan tang
badhaai shaayaron ne baat thodi

uthe kya zaanoo-e-gham se sar apna
bahut guzri rahi haihaat thodi

khayaal-e-zabt-e-girya hai jo ham ko
bahut imsaal hai barsaat thodi

pilaaye le ke naqd-e-hosh saaqi
tahee-daston ki hai auqaat thodi

wahi hai aasmaan par ganj-e-anjum
mili thi jo tiri khairaat thodi

tira ai dukht-e-raz waasif hai waiz
paye-hurmat hai itni baat thodi

chalo manzil ameer aankhen to kholo
nihaayat rah gai hai raat thodi

गुज़र को है बहुत औक़ात थोड़ी
कि है ये तूल क़िस्सा रात थोड़ी

जो मय ज़ाहिद ने माँगी मस्त बोले
बहुत या क़िबला-ए-हाजात थोड़ी

कहाँ ग़ुंचा कहाँ उस का दहन तंग
बढ़ाई शायरों ने बात थोड़ी

उठे क्या ज़ानू-ए-ग़म से सर अपना
बहुत गुज़री रही हैहात थोड़ी

ख़याल-ए-ज़ब्त-ए-गिर्या है जो हम को
बहुत इमसाल है बरसात थोड़ी

पिलाए ले के नक़द-ए-होश साक़ी
तही-दस्तों की है औक़ात थोड़ी

वही है आसमाँ पर गंज-ए-अंजुम
मिली थी जो तिरी ख़ैरात थोड़ी

तिरा ऐ दुख़्त-ए-रज़ वासिफ़ है वाइज़
पए-हुर्मत है इतनी बात थोड़ी

चलो मंज़िल 'अमीर' आँखें तो खोलो
निहायत रह गई है रात थोड़ी

  - Ameer Minai

Baarish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Baarish Shayari Shayari