pehle to mujhe kaha nikaalo
phir bole gareeb hai bula lo
be-dil rakhne se faaeda kya
tum jaan se mujh ko maar daalo
us ne bhi to dekhi hain ye aankhen
aankh aarsi par samajh ke daalo
aaya hai vo mah bujha bhi do sham'a
parvaanon ko bazm se nikaalo
ghabra ke ham aaye the soo-e-hashr
yaa pesh hai aur maajra lo
takie mein gaya to main pukaara
shab teera hai jaago sone waalo
aur din pe ameer takiya kab tak
tum bhi to kuchh aap ko sambhalo
पहले तो मुझे कहा निकालो
फिर बोले ग़रीब है बुला लो
बे-दिल रखने से फ़ाएदा क्या
तुम जान से मुझ को मार डालो
उस ने भी तो देखी हैं ये आँखें
आँख आरसी पर समझ के डालो
आया है वो मह बुझा भी दो शम्अ
परवानों को बज़्म से निकालो
घबरा के हम आए थे सू-ए-हश्र
याँ पेश है और माजरा लो
तकिए में गया तो मैं पुकारा
शब तीरा है जागो सोने वालो
और दिन पे 'अमीर' तकिया कब तक
तुम भी तो कुछ आप को सँभालो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Minai
our suggestion based on Ameer Minai
As you were reading Greed Shayari Shayari