jab se bulbul tu ne do tinke liye | जब से बुलबुल तू ने दो तिनके लिए

  - Ameer Minai

jab se bulbul tu ne do tinke liye
tootti hain bijliyaan in ke liye

hai jawaani khud jawaani ka singaar
saadgi gehna hai is sin ke liye

kaun veeraane mein dekhega bahaar
phool jungle mein khile kin ke liye

saari duniya ke hain vo mere siva
main ne duniya chhod di jin ke liye

baagbaan kaliyaan hon halke rang ki
bhejni hai ek kam-sin ke liye

sab haseen hain zaahidon ko na-pasand
ab koi hoor aayegi in ke liye

vasl ka din aur itna mukhtasar
din gine jaate the is din ke liye

subh ka sona jo haath aata ameer
bhejte tohfa mo'azzin ke liye

जब से बुलबुल तू ने दो तिनके लिए
टूटती हैं बिजलियाँ इन के लिए

है जवानी ख़ुद जवानी का सिंगार
सादगी गहना है इस सिन के लिए

कौन वीराने में देखेगा बहार
फूल जंगल में खिले किन के लिए

सारी दुनिया के हैं वो मेरे सिवा
मैं ने दुनिया छोड़ दी जिन के लिए

बाग़बाँ कलियाँ हों हल्के रंग की
भेजनी है एक कम-सिन के लिए

सब हसीं हैं ज़ाहिदों को ना-पसंद
अब कोई हूर आएगी इन के लिए

वस्ल का दिन और इतना मुख़्तसर
दिन गिने जाते थे इस दिन के लिए

सुब्ह का सोना जो हाथ आता 'अमीर'
भेजते तोहफ़ा मोअज़्ज़िन के लिए

  - Ameer Minai

Jawani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Jawani Shayari Shayari