tira kya kaam ab dil mein gham-e-jaanaana aata hai | तिरा क्या काम अब दिल में ग़म-ए-जानाना आता है - Ameer Minai

tira kya kaam ab dil mein gham-e-jaanaana aata hai
nikal ai sabr is ghar se ki sahib-khaana aata hai

nazar mein teri aankhen sar mein sauda teri zulfon ka
kai pariyon ke saaye mein tira deewaana aata hai

wafur-e-rehmat-e-baari hai may-khwaaron pe in rozon
jidhar se abr uthata hai soo-e-may-khaana aata hai

lagi dil ki bujaaye bekasi mein kaun hai aisa
magar ik giryaa-e-hasrat ki be-tabaana aata hai

unhin se ghamze karti hai jo tujh par jaan dete hain
ajal tujh ko bhi kitna naaz-e-maashooqaana aata hai

pareshaani mein ye aalam tiri zulfon ka dekha hai
ki ik ik baal par qurbaan hone shaana aata hai

chhalk jaata hai jaam-e-umr apna waaye-naakaami
hamaare munh talak saaqi agar paimaana aata hai

vo but hi meherbaan sab apna apna haal kahte hain
lab-e-khaamosh tujh ko bhi koi afsaana aata hai

tilism-e-taaza tera saaya-e-deewar rakhta hai
badalta hai pari ka bhes jo deewaana aata hai

ye azmat rah ke zaahid in buton mein hum ne paai hai
ki kaaba hum ko lene ta-dar-e-may-khaana aata hai

do-rangi se nahin khaali adam bhi soorat-e-hasti
koi hoshyaar aata hai koi deewaana aata hai

huma yun ustukhwaan-e-sokhta par mere girta hai
tadap kar sham'a par jaise koi parwaana aata hai

udhar hain husn ki ghaaten idhar hain ishq ki baatein
tujhe afsoon to mujh ko use pari afsaana aata hai

kaleja haath se ahl-e-tama ke chaak hota hai
sadaf-aasa agar mujh ko mayassar daana aata hai

namak jallaad chhidka chahta hai mere zakhamon par
maze ka waqt ab ai himmat-e-mardaana aata hai

zabardasti ka dhadka vasl mein tum ko samaaya hai
kidhar ho hosh mein aao koi aaya na aata hai

ilaahi kis ki sham-e-husn se raushan hai ghar mera
ki ban jaata hai jugnoo aaj jo parwaana aata hai

vo aashiq khaal-o-khat ka hoon nazr-e-mor karta hoon
mayassar teesre din bhi jo mujh ko daana aata hai

ameer aur aane waala kaun hai gor-e-ghareeban par
jo raushan sham'a hoti hai to haan parwaana aata hai

तिरा क्या काम अब दिल में ग़म-ए-जानाना आता है
निकल ऐ सब्र इस घर से कि साहिब-ख़ाना आता है

नज़र में तेरी आँखें सर में सौदा तेरी ज़ुल्फ़ों का
कई परियों के साए में तिरा दीवाना आता है

वफ़ूर-ए-रहमत-ए-बारी है मय-ख़्वारों पे इन रोज़ों
जिधर से अब्र उठता है सू-ए-मय-ख़ाना आता है

लगी दिल की बुझाए बेकसी में कौन है ऐसा
मगर इक गिर्या-ए-हसरत कि बे-ताबाना आता है

उन्हीं से ग़म्ज़े करती है जो तुझ पर जान देते हैं
अजल तुझ को भी कितना नाज़-ए-मअशूक़ाना आता है

परेशानी में ये आलम तिरी ज़ुल्फ़ों का देखा है
कि इक इक बाल पर क़ुर्बान होने शाना आता है

छलक जाता है जाम-ए-उम्र अपना वाए-नाकामी
हमारे मुँह तलक साक़ी अगर पैमाना आता है

वो बुत ही मेहरबाँ सब अपना अपना हाल कहते हैं
लब-ए-ख़ामोश तुझ को भी कोई अफ़्साना आता है

तिलिस्म-ए-ताज़ा तेरा साया-ए-दीवार रखता है
बदलता है परी का भेस जो दीवाना आता है

ये अज़्मत रह के ज़ाहिद इन बुतों में हम ने पाई है
कि काबा हम को लेने ता-दर-ए-मय-ख़ाना आता है

दो-रंगी से नहीं ख़ाली अदम भी सूरत-ए-हस्ती
कोई होश्यार आता है कोई दीवाना आता है

हुमा यूँ उस्तुख़्वान-ए-सोख़्ता पर मेरे गिरता है
तड़प कर शम्अ पर जैसे कोई परवाना आता है

उधर हैं हुस्न की घातें इधर हैं इश्क़ की बातें
तुझे अफ़्सूँ तो मुझ को उसे परी अफ़्साना आता है

कलेजा हाथ से अहल-ए-तमअ के चाक होता है
सदफ़-आसा अगर मुझ को मयस्सर दाना आता है

नमक जल्लाद छिड़का चाहता है मेरे ज़ख़्मों पर
मज़े का वक़्त अब ऐ हिम्मत-ए-मर्दाना आता है

ज़बरदस्ती का धड़का वस्ल में तुम को समाया है
किधर हो होश में आओ कोई आया न आता है

इलाही किस की शम्-ए-हुस्न से रौशन है घर मेरा
कि बन जाता है जुगनू आज जो परवाना आता है

वो आशिक़ ख़ाल-ओ-ख़त का हूँ नज़्र-ए-मोर करता हूँ
मयस्सर तीसरे दिन भी जो मुझ को दाना आता है

'अमीर' और आने वाला कौन है गोर-ए-ग़रीबाँ पर
जो रौशन शम्अ होती है तो हाँ परवाना आता है

- Ameer Minai
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari