pila saaqiya arghwaani sharaab | पिला साक़िया अर्ग़वानी शराब

  - Ameer Minai

pila saaqiya arghwaani sharaab
ki peeri mein de naujawaani sharaab

vo shola hai saaqi ki ranjak ki tarah
uda deti hai naa-tawaani sharaab

kahaan baada-e-aish taqdeer mein
piyuun main to ho jaaye paani sharaab

na laaya hai sheesha na jaam-o-suboo
pilaata hai saaqi zabaani sharaab

kahaan aql-e-barna kahaan aql-e-peer
naye se hai behtar puraani sharaab

mere chehra-e-zard ke aks se
hui saaqiya zaafraani sharaab

hue mast dekha jo phoolon ka rang
piyaalon mein thi arghwaani sharaab

kahaan chashma-e-khizr kaise khizr
khizr hai meri zindagaani sharaab

khizr hoon agar main to ja kar piyuun
sar-e-chashma-e-zindagaani sharaab

gulistaan hai phoolon se kya laal laal
chale saaqiya arghwaani sharaab

ajab saaqiya gandumee rang hai
ki partav se banti hai dhaani sharaab

rahe taq par paarsaai ameer
pilaaye jo vo yaar-e-jaani sharaab

पिला साक़िया अर्ग़वानी शराब
कि पीरी में दे नौजवानी शराब

वो शोला है साक़ी कि रंजक की तरह
उड़ा देती है ना-तवानी शराब

कहाँ बादा-ए-ऐश तक़दीर में
पियूँ मैं तो हो जाए पानी शराब

न लाया है शीशा न जाम-ओ-सुबू
पिलाता है साक़ी ज़बानी शराब

कहाँ अक़्ल-ए-बर्ना कहाँ अक़्ल-ए-पीर
नए से है बेहतर पुरानी शराब

मिरे चेहरा-ए-ज़र्द के अक्स से
हुई साक़िया ज़ाफ़रानी शराब

हुए मस्त देखा जो फूलों का रंग
पियालों में थी अर्ग़वानी शराब

कहाँ चश्मा-ए-ख़िज़्र कैसे ख़िज़र
ख़िज़र है मिरी ज़िंदगानी शराब

ख़िज़र हूँ अगर मैं तो जा कर पियूँ
सर-ए-चश्मा-ए-ज़िंदगानी शराब

गुलिस्ताँ है फूलों से क्या लाल लाल
चले साक़िया अर्ग़वानी शराब

अजब साक़िया गंदुमी रंग है
कि परतव से बनती है धानी शराब

रहे ताक़ पर पारसाई 'अमीर'
पिलाए जो वो यार-ए-जानी शराब

  - Ameer Minai

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari