ham-sar-e-zulf qad-e-hoor-e-shimail thehra | हम-सर-ए-ज़ुल्फ़ क़द-ए-हूर-ए-शिमाइल ठहरा

  - Ameer Minai

ham-sar-e-zulf qad-e-hoor-e-shimail thehra
laam ka khoob alif madd-e-muqaabil thehra

deeda-e-tar se jo daaman mein gira dil thehra
bahte bahte ye safeena lab-e-saahil thehra

ki nazar roo-e-kitaabi pe to kuchh dil thehra
maktab-e-shauq bhi quraan ki manzil thehra

nigahat-e-gul se pareshaan hua us ka dimaagh
khanda-e-gul na hua shor-e-anaadil thehra

najd se qais jo aaya mare zindaan ki taraf
der tak gosh-bar-aawaaz-e-silasil thehra

husn jis tifl ka chamka vo hua baiys-e-qatl
jis ne talwaar sambhaali mera qaateel thehra

khat jo nikla rukh-e-jaanaan pe mila bosa-e-khaal
yahi daana faqat is kisht ka haasil thehra

alam ik nuqta jo mashhoor tha ai josh-e-junoon
ghaur se ki jo nazar nuqta-e-baatil thehra

door jab tak the tadpata tha mein kaisa kaisa
paas aa kar vo jo thehre to mera dil thehra

kasrat-e-daag se gul-dasta bana dil to kya
zeenat-e-baag na aaraish-e-mahfil thehra

daudta qais bhi aata hai nihaayat hi qareeb
ik zara naqe ko ai sahib-e-mahmil thehra

dam jo betaab tha muddat se mere seene mein
tegh-e-qaatil ke tale kuchh dam-e-bismil thehra

ham badi door se aaye hain tumhaara hai ye haal
ghar se darwaaze tak aana kai manzil thehra

ab tak aati hai sada turbat-e-laila se ameer
saarbaan ab to khuda ke liye mahmil thehra

हम-सर-ए-ज़ुल्फ़ क़द-ए-हूर-ए-शिमाइल ठहरा
लाम का ख़ूब अलिफ़ मद्द-ए-मुक़ाबिल ठहरा

दीदा-ए-तर से जो दामन में गिरा दिल ठहरा
बहते बहते ये सफ़ीना लब-ए-साहिल ठहरा

की नज़र रू-ए-किताबी पे तो कुछ दिल ठहरा
मक्तब-ए-शौक़ भी क़ुरआन की मंज़िल ठहरा

निगहत-ए-गुल से परेशान हुआ उस का दिमाग़
ख़ंदा-ए-गुल न हुआ शोर-ए-अनादिल ठहरा

नज्द से क़ैस जो आया मरे ज़िंदाँ की तरफ़
देर तक गोश-बर-आवाज़-ए-सलासिल ठहरा

हुस्न जिस तिफ़्ल का चमका वो हुआ बाइस-ए-क़त्ल
जिस ने तलवार सँभाली मिरा क़ातिल ठहरा

ख़त जो निकला रुख़-ए-जानाँ पे मिला बोसा-ए-ख़ाल
यही दाना फ़क़त इस किश्त का हासिल ठहरा

अलम इक नुक़्ता जो मशहूर था ऐ जोश-ए-जुनूँ
ग़ौर से की जो नज़र नुक़्ता-ए-बातिल ठहरा

दूर जब तक थे तड़पता था में कैसा कैसा
पास आ कर वो जो ठहरे तो मिरा दिल ठहरा

कसरत-ए-दाग़ से गुल-दस्ता बना दिल तो क्या
ज़ीनत-ए-बाग़ न आराइश-ए-महफ़िल ठहरा

दौड़ता क़ैस भी आता है निहायत ही क़रीब
इक ज़रा नाक़े को ऐ साहिब-ए-महमिल ठहरा

दम जो बेताब था मुद्दत से मिरे सीने में
तेग़-ए-क़ातिल के तले कुछ दम-ए-बिस्मिल ठहरा

हम बड़ी दूर से आए हैं तुम्हारा है ये हाल
घर से दरवाज़े तक आना कई मंज़िल ठहरा

अब तक आती है सदा तुर्बत-ए-लैला से 'अमीर'
सारबान अब तो ख़ुदा के लिए महमिल ठहरा

  - Ameer Minai

Bimari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Bimari Shayari Shayari