phoolon mein agar hai boo tumhaari
kaanton mein bhi hogi khoo tumhaari
us dil pe hazaar jaan sadqe
jis dil mein hai aarzoo tumhaari
do din mein guloo bahaar kya ki
rangat vo rahi na boo tumhaari
chatka jo chaman mein guncha-e-gul
boo de gai guftugoo tumhaari
mushtaaq se door bhaagti hai
itni hai ajal mein khoo tumhaari
gardish se hai mehr-o-mah ke saabit
un ko bhi hai justuju tumhaari
aankhon se kaho kami na karna
ashkon se hai aabroo tumhaari
lo sard hua main neem-bismil
poori hui aarzoo tumhaari
sab kahte hain jis ko lailatul-qadr
hai kaakul-e-mushk-boo tumhaari
tanhaa na firo ameer shab ko
hai ghaat mein har adoo tumhaari
फूलों में अगर है बू तुम्हारी
काँटों में भी होगी ख़ू तुम्हारी
उस दिल पे हज़ार जान सदक़े
जिस दिल में है आरज़ू तुम्हारी
दो दिन में गुलू बहार क्या की
रंगत वो रही न बू तुम्हारी
चटका जो चमन में ग़ुंचा-ए-गुल
बू दे गई गुफ़्तुगू तुम्हारी
मुश्ताक़ से दूर भागती है
इतनी है अजल में ख़ू तुम्हारी
गर्दिश से है महर-ओ-मह के साबित
उन को भी है जुस्तुजू तुम्हारी
आँखों से कहो कमी न करना
अश्कों से है आबरू तुम्हारी
लो सर्द हुआ मैं नीम-बिस्मिल
पूरी हुई आरज़ू तुम्हारी
सब कहते हैं जिस को लैलतुल-क़द्र
है काकुल-ए-मुश्क-बू तुम्हारी
तन्हा न फिरो 'अमीर' शब को
है घात में हर अदू तुम्हारी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Minai
our suggestion based on Ameer Minai
As you were reading Raat Shayari Shayari