dil ko tarz-e-nigah-e-yaar jataate aaye | दिल को तर्ज़-ए-निगह-ए-यार जताते आए - Ameer Minai

dil ko tarz-e-nigah-e-yaar jataate aaye
teer bhi aaye to be-par ki udaate aaye

baadshaahon ka hai darbaar dar-e-peer-e-mugaan
saikron jaate gaye saikron aate aaye

chhup ke bhi aaye mere ghar to vo darbaanon ko
apni paazeb ki jhankaar sunaate aaye

roz-e-mahshar jo bulaaye gaye deewaana-e-zulf
bediyaan pahne hue shor machaate aaye

kya kaheinge koi mahshar mein jo poochhega ameer
kyun na bigdi hui baaton ko banaate aaye

दिल को तर्ज़-ए-निगह-ए-यार जताते आए
तीर भी आए तो बे-पर की उड़ाते आए

बादशाहों का है दरबार दर-ए-पीर-ए-मुग़ाँ
सैकड़ों जाते गए सैकड़ों आते आए

छुप के भी आए मिरे घर तो वो दरबानों को
अपनी पाज़ेब की झंकार सुनाते आए

रोज़-ए-महशर जो बुलाए गए दीवाना-ए-ज़ुल्फ़
बेड़ियाँ पहने हुए शोर मचाते आए

क्या कहेंगे कोई महशर में जो पूछेगा 'अमीर'
क्यूँ न बिगड़ी हुई बातों को बनाते आए

- Ameer Minai
0 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari