ham lottay hain vo so rahe hain | हम लोटते हैं वो सो रहे हैं

  - Ameer Minai

ham lottay hain vo so rahe hain
kya naaz-o-niyaaz ho rahe hain

kya rang jahaan mein ho rahe hain
do hanste hain chaar ro rahe hain

duniya se alag jo ho rahe hain
takiyon mein maze se so rahe hain

pahunchee hai hamaari ab ye haalat
jo hanste the vo bhi ro rahe hain

tanhaa tah-e-khaak bhi nahin ham
hasrat ke saath so rahe hain

sote hain lahd mein sone waale
jo jaagte hain vo ro rahe hain

arbaab-e-kamaal chal base sab
sau mein kahi ek do rahe hain

palkon ki jhapak dikha ke ye but
dil mein nashtar chubho rahe hain

mujh daagh-naseeb ki lahd par
laale ka vo beej bo rahe hain

peeri mein bhi ham hazaar afsos
bachpan ki neend sau rahe hain

daaman se ham apne daagh-e-hasti
aab-e-khanjar se do rahe hain

mein jaag raha hoon ae shab-e-gham
par mere naseeb sau rahe hain

roenge hamein rulaane waale
doobenge vo jo dubo rahe hain

ai hashr madine mein na kar shor
chup chup sarkaar sau rahe hain

aaine pe bhi kaddi nigaahen
kis par ye itaab ho rahe hain

bhari hai jo motiyon ka maala
aath aath aansu vo ro rahe hain

dil cheen ke ho gaye hain ghaafil
fitne vo jaga ke sau rahe hain

hai gair ke ghar jo in ki daawat
ham jaan se haath dho rahe hain

sad shukr khayal hai usi ka
ham jis se lipt ke sau rahe hain

ho jaayen na khushk daagh ke phool
aansu un ko bhigo rahe hain

aayegi na phir ke umr-e-rafta
ham muft mein jaan kho rahe hain

kya giryaa-e-be-asar se haasil
is rone pe ham to ro rahe hain

fariyaad ki naakhuda-e-kashti
kashti ko meri dubo rahe hain

kyun karte hain gham-gusaar takleef
aansu mere munh ko dho rahe hain

mehfil barkhast hai patange
ruksat shamon se ho rahe hain

hai koch ka waqt aasmaan par
taare kahi naam ko rahe hain

un ki bhi numood hai koi dam
vo bhi na rahenge jo rahe hain

duniya ka ye rang aur ham ko
kuchh hosh nahin hai so rahe hain

thehro dam-e-naz'a do ghadi aur
do chaar nafs hi to rahe hain

phool un ko pinhaa pinhaa ke aghyaar
kaante mere haq mein bo rahe hain

zaanoo pe ameer sar ko rakhe
paharon guzre ki ro rahe hain

हम लोटते हैं वो सो रहे हैं
क्या नाज़-ओ-नियाज़ हो रहे हैं

क्या रंग जहाँ में हो रहे हैं
दो हँसते हैं चार रो रहे हैं

दुनिया से अलग जो हो रहे हैं
तकियों में मज़े से सो रहे हैं

पहुँची है हमारी अब ये हालत
जो हँसते थे वो भी रो रहे हैं

तन्हा तह-ए-ख़ाक भी नहीं हम
हसरत के साथ सो रहे हैं

सोते हैं लहद में सोने वाले
जो जागते हैं वो रो रहे हैं

अरबाब-ए-कमाल चल बसे सब
सौ में कहीं एक दो रहे हैं

पलकों की झपक दिखा के ये बुत
दिल में नश्तर चुभो रहे हैं

मुझ दाग़-नसीब की लहद पर
लाले का वो बीज बो रहे हैं

पीरी में भी हम हज़ार अफ़्सोस
बचपन की नींद सौ रहे हैं

दामन से हम अपने दाग़-ए-हस्ती
आब-ए-ख़ंजर से दो रहे हैं

में जाग रहा हूँ ए शब-ए-ग़म
पर मेरे नसीब सौ रहे हैं

रोएँगे हमें रुलाने वाले
डूबेंगे वो जो डुबो रहे हैं

ऐ हश्र मदीने में न कर शोर
चुप चुप सरकार सौ रहे हैं

आईने पे भी कड़ी निगाहें
किस पर ये इताब हो रहे हैं

भारी है जो मोतियों का माला
आठ आठ आँसू वो रो रहे हैं

दिल छीन के हो गए हैं ग़ाफ़िल
फ़ित्ने वो जगा के सौ रहे हैं

है ग़ैर के घर जो इन की दावत
हम जान से हाथ धो रहे हैं

सद शुक्र ख़याल है उसी का
हम जिस से लिपट के सौ रहे हैं

हो जाएँ न ख़ुश्क दाग़ के फूल
आँसू उन को भिगो रहे हैं

आएगी न फिर के उम्र-ए-रफ़्ता
हम मुफ़्त में जान खो रहे हैं

क्या गिर्या-ए-बे-असर से हासिल
इस रोने पे हम तो रो रहे हैं

फ़रियाद कि नाख़ुदा-ए-कश्ती
कश्ती को मिरी डुबो रहे हैं

क्यों करते हैं ग़म-गुसार तकलीफ़
आँसू मिरे मुँह को धो रहे हैं

महफ़िल बरख़ास्त है पतंगे
रुख़्सत शम्ओं' से हो रहे हैं

है कोच का वक़्त आसमाँ पर
तारे कहीं नाम को रहे हैं

उन की भी नुमूद है कोई दम
वो भी न रहेंगे जो रहे हैं

दुनिया का ये रंग और हम को
कुछ होश नहीं है सो रहे हैं

ठहरो दम-ए-नज़्अ' दो घड़ी और
दो चार नफ़स ही तो रहे हैं

फूल उन को पिन्हा पिन्हा के अग़्यार
काँटे मिरे हक़ में बो रहे हैं

ज़ानू पे 'अमीर' सर को रक्खे
पहरों गुज़रे कि रो रहे हैं

  - Ameer Minai

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari