mujh mast ko may ki boo bahut hai | मुझ मस्त को मय की बू बहुत है

  - Ameer Minai

mujh mast ko may ki boo bahut hai
deewane ko ek huu bahut hai

moti ki tarah jo ho khuda-daad
thodi si bhi aabroo bahut hai

jaate hain jo sabr-o-hosh jaayen
mujh ko ai dard tu bahut hai

maanind-e-kaleem badh na ai dil
ye dard ki guftugoo bahut hai

be-kaif ho may to khum ke khum kya
achhi ho to ik suboo bahut hai

kya vasl ki shab mein mushkilein hain
furqat kam aarzoo bahut hai

manzoor hai khoon-e-dil jo ai yaas
apne liye aarzoo bahut hai

ai nashtar-e-gham ho laakh tan-e-khushk
tere dam ko lahu bahut hai

chhede vo mizaa to kyun main rooun
aankhon mein khalish ko moo bahut hai

gunche ki tarah chaman mein saaqi
apna hi mujhe suboo bahut hai

kya gham hai ameer agar nahin maal
is waqt mein aabroo bahut hai

मुझ मस्त को मय की बू बहुत है
दीवाने को एक हू बहुत है

मोती की तरह जो हो ख़ुदा-दाद
थोड़ी सी भी आबरू बहुत है

जाते हैं जो सब्र-ओ-होश जाएँ
मुझ को ऐ दर्द तू बहुत है

मानिंद-ए-कलीम बढ़ न ऐ दिल
ये दर्द की गुफ़्तुगू बहुत है

बे-कैफ़ हो मय तो ख़ुम के ख़ुम क्या
अच्छी हो तो इक सुबू बहुत है

क्या वस्ल की शब में मुश्किलें हैं
फ़ुर्सत कम आरज़ू बहुत है

मंज़ूर है ख़ून-ए-दिल जो ऐ यास
अपने लिए आरज़ू बहुत है

ऐ नश्तर-ए-ग़म हो लाख तन-ए-ख़ुश्क
तेरे दम को लहू बहुत है

छेड़े वो मिज़ा तो क्यूँ मैं रोऊँ
आँखों में ख़लिश को मू बहुत है

ग़ुंचे की तरह चमन में साक़ी
अपना ही मुझे सुबू बहुत है

क्या ग़म है 'अमीर' अगर नहीं माल
इस वक़्त में आबरू बहुत है

  - Ameer Minai

Diwangi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Diwangi Shayari Shayari