sarkati jaaye hai rukh se naqaab aahista aahista | सरकती जाए है रुख़ से नक़ाब आहिस्ता आहिस्ता

  - Ameer Minai

sarkati jaaye hai rukh se naqaab aahista aahista
nikalta aa raha hai aftaab aahista aahista

jawaan hone lage jab vo to ham se kar liya parda
haya yak-lakht aayi aur shabaab aahista aahista

shab-e-furqat ka jaaga hoon farishto ab to sone do
kabhi furqat mein kar lena hisaab aahista aahista

sawaal-e-wasl par un ko adoo ka khauf hai itna
dabey honton se dete hain jawaab aahista aahista

vo bedardi se sar kaaten ameer aur main kahoon un se
huzoor aahista aahista janab aahista aahista

सरकती जाए है रुख़ से नक़ाब आहिस्ता आहिस्ता
निकलता आ रहा है आफ़्ताब आहिस्ता आहिस्ता

जवाँ होने लगे जब वो तो हम से कर लिया पर्दा
हया यक-लख़्त आई और शबाब आहिस्ता आहिस्ता

शब-ए-फ़ुर्क़त का जागा हूँ फ़रिश्तो अब तो सोने दो
कभी फ़ुर्सत में कर लेना हिसाब आहिस्ता आहिस्ता

सवाल-ए-वस्ल पर उन को अदू का ख़ौफ़ है इतना
दबे होंटों से देते हैं जवाब आहिस्ता आहिस्ता

वो बेदर्दी से सर काटें 'अमीर' और मैं कहूँ उन से
हुज़ूर आहिस्ता आहिस्ता जनाब आहिस्ता आहिस्ता

  - Ameer Minai

Sharm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Sharm Shayari Shayari