qibla-e-dil kaaba-e-jaan aur hai
sajda-gaah-e-ahl-e-irfaan aur hai
ho ke khush katwaate hain apne gale
aashiqon ki eid-e-qurbaan aur hai
roz-o-shab yaa ek si hai raushni
dil ke daaghoon ka charaaghaan aur hai
khaal dikhlaati hai phoolon ki bahaar
bulbulo apna gulistaan aur hai
qaid mein aaraam aazaadi vabaal
ham giriftaaron ka zindaan aur hai
bahr-e-ulfat mein nahin kashti ka kaam
nooh se kah do ye toofaan aur hai
kis ko andesha hai barq o sail se
apna khirman ka nigahbaan aur hai
dard vo dil mein vo seene par hai daagh
jis ka marham jis ka darmaan aur hai
kaaba-roo mehrab-e-abroo ai ameer
apni taa'at apna eemaan aur hai
क़िबला-ए-दिल काबा-ए-जाँ और है
सज्दा-गाह-ए-अहल-ए-इरफ़ाँ और है
हो के ख़ुश कटवाते हैं अपने गले
आशिक़ों की ईद-ए-क़ुर्बां और है
रोज़-ओ-शब याँ एक सी है रौशनी
दिल के दाग़ों का चराग़ाँ और है
ख़ाल दिखलाती है फूलों की बहार
बुलबुलो अपना गुलिस्ताँ और है
क़ैद में आराम आज़ादी वबाल
हम गिरफ़्तारों का ज़िंदाँ और है
बहर-ए-उल्फ़त में नहीं कश्ती का काम
नूह से कह दो ये तूफ़ाँ और है
किस को अंदेशा है बर्क़ ओ सैल से
अपना ख़िर्मन का निगहबाँ और है
दर्द वो दिल में वो सीने पर है दाग़
जिस का मरहम जिस का दरमाँ और है
काबा-रू मेहराब-ए-अबरू ऐ 'अमीर'
अपनी ताअ'त अपना ईमाँ और है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Minai
our suggestion based on Ameer Minai
As you were reading Peace Shayari Shayari