tajdeed zindagi ke ishaare hue to hain
kuchh pal sahi vo aaj hamaare hue to hain
maana naseeb ho na saka koi aftaab
raaton mein meri chaand sitaare hue to hain
be-shak haqeeqaton se bahut door hai magar
be-shak yahi saraab sahaare hue to hain
chhoota nahin hai daaman-e-ummeed ab talak
ham bhi ai dost waqt ke maare hue to hain
ye aur baat ham hi na mahjooz ho sake
khush-rang zindagi ke nazaare hue to hain
तज्दीद ज़िंदगी के इशारे हुए तो हैं
कुछ पल सही वो आज हमारे हुए तो हैं
माना नसीब हो न सका कोई आफ़्ताब
रातों में मेरी चाँद सितारे हुए तो हैं
बे-शक हक़ीक़तों से बहुत दूर है मगर
बे-शक यही सराब सहारे हुए तो हैं
छूटा नहीं है दामन-ए-उम्मीद अब तलक
हम भी ऐ दोस्त वक़्त के मारे हुए तो हैं
ये और बात हम ही न महज़ूज़ हो सके
ख़ुश-रंग ज़िंदगी के नज़ारे हुए तो हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameeta Parsuram Meeta
our suggestion based on Ameeta Parsuram Meeta
As you were reading Qismat Shayari Shayari