koii afsos nahin saare zamaane se mila | कोई अफ़सोस नहीं सारे ज़माने से मिला - Amit Yadav "MANISHA"

koii afsos nahin saare zamaane se mila
mujhe gham zindagi mein aapke aane se mila

khojte phir rahe hain log jise jannat mein
vo sukoon maa ke mujhe paanv dabane se mila

kuch bhi haasil nahin hota yahan bin mehnat ke
khud ka saaya bhi mujhe dhoop mein aane se mila

tu mukhatib hai to is raaz ko kar be-parda
kaunsa sukh tujhe dil mera dukhaane se mila

कोई अफ़सोस नहीं सारे ज़माने से मिला
मुझे ग़म ज़िंदगी में आपके आने से मिला

खोजते फिर रहे हैं लोग जिसे जन्नत में
वो सुकूँ माँ के मुझे पाँव दबाने से मिला

कुछ भी हासिल नहीं होता यहाँ बिन मेहनत के
ख़ुद का साया भी मुझे धूप में आने से मिला

तू मुख़ातिब है तो इस राज़ को कर बे-पर्दा
कौनसा सुख तुझे दिल मेरा दुखाने से मिला

- Amit Yadav "MANISHA"
0 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Yadav "MANISHA"

As you were reading Shayari by Amit Yadav "MANISHA"

Similar Writers

our suggestion based on Amit Yadav "MANISHA"

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari