takhayyul ko bari karne laga hoon | तख़य्युल को बरी करने लगा हूँ

  - Ammar Iqbal

takhayyul ko bari karne laga hoon
main zehni khud-kushi karne laga hoon

mujhe zinda jalaya ja raha hai
to kya main raushni karne laga hoon

main aainon ko dekhe ja raha tha
ab in se baat bhi karne laga hoon

tumhaari bas tumhaari dushmani mein
main sab se dosti karne laga hoon

mujhe gumraah karna ghair-mumkin
main apni pairavi karne laga hoon

तख़य्युल को बरी करने लगा हूँ
मैं ज़ेहनी ख़ुद-कुशी करने लगा हूँ

मुझे ज़िंदा जलाया जा रहा है
तो क्या मैं रौशनी करने लगा हूँ

मैं आईनों को देखे जा रहा था
अब इन से बात भी करने लगा हूँ

तुम्हारी बस तुम्हारी दुश्मनी में
मैं सब से दोस्ती करने लगा हूँ

मुझे गुमराह करना ग़ैर-मुमकिन
मैं अपनी पैरवी करने लगा हूँ

  - Ammar Iqbal

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ammar Iqbal

As you were reading Shayari by Ammar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Ammar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari