mujh se nikal ke mere kisi aaine mein aa | मुझ से निकल के मेरे किसी आईने में आ

  - Ammar Iqbal

mujh se nikal ke mere kisi aaine mein aa
ai rabb ae khush-jamaal kabhi raabte mein aa

tujh se guzar ke apni khabar leni hai mujhe
deewarein jism o jaan mere raaste mein aa

yak baargi jo phir gai nazren to phir gai
ab chahe khwaab mein ki kisi ratjage mein aa

sab tod taar tujh se kaddi jod loonga main
ik baar mere paas kisi silsile mein aa

hal ho gaya na mujh mein hamesha ke vaaste
kis ne kaha tha tujh se ki mujh masale mein aa

rakhen tujhe hatheli par kab tak sambhaal kar
chal ashk ae naamuraad nikal aable mein aa

phir dekhta hoon kaise nikalte hai tere bal
ammaar is badan se nikal kar khule mein aa

मुझ से निकल के मेरे किसी आईने में आ
ऐ रब्ब ए खुश-जमाल कभी राब्ते में आ

तुझ से गुज़र के अपनी खबर लेनी है मुझे
दीवारें जिस्म ओ जान मेरे रास्ते में आ

यक बारगी जो फिर गई नजरें तो फिर गई
अब चाहे ख्वाब में कि किसी रतजगे में आ

सब तोड़ ताड़ तुझ से कड़ी जोड़ लूंगा मैं
इक बार मेरे पास किसी सिलसिले में आ

हल हो गया ना मुझ में हमेशा के वास्ते
किस ने कहा था तुझ से कि मुझ मसअले में आ

रक्खें तुझे हथेली पर कब तक संभाल कर
चल अश्क़ ए नामुराद निकल आबले में आ

फिर देखता हूं कैसे निकलते है तेरे बल
'अम्मार' इस बदन से निकल कर खुले में आ

  - Ammar Iqbal

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ammar Iqbal

As you were reading Shayari by Ammar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Ammar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari