pyaar phir jhoota jataane laut kar waapas na aa ab
yaad yun mujhko na kar tu yun na tu mujhko sata ab
de na yun mujhko saza jurm-e-wafa kii be-wafa tu
ye fareb-e-dam dikhaakar aur mat dil ko dukha ab
jaahilon ne is-qadar bhatka diya hai zaahidon ko
har taraf barbaadiyaan hain gar kare bhi dil to kya ab
bah gaye jazbaat saare saath mere aansuon ke
kuchh bacha mujhmein kahaan jo kar sakoon tujhpe fana ab
thi shikaayat ye khuda bas chaar din kii zindagi di
sang jo kuchh pal bitaayein hai nahin ye bhi gila ab
poochna mujhse na koii hai kidhar mera thikaana
kho gaya hoon main kahaan khud hai nahin mujhko pata ab
maa ko dukh hai kyun maheenon baat main karta nahin hoon
hai bana mujhko diya is ishq ne kitna bura ab
hai qasam rehaan uski jiski khaatir likhte ho tum
gar kabhi mil jaaye vo mud ke na usko dekhna ab
प्यार फिर झूठा जताने लौट कर वापस न आ अब
याद यूँ मुझको न कर तू यूँ न तू मुझको सता अब
दे न यूँ मुझको सज़ा जुर्म-ए-वफ़ा की बे-वफ़ा तू
ये फ़रेब-ए-दम दिखाकर और मत दिल को दुखा अब
जाहिलों ने इस-क़दर भटका दिया है ज़ाहिदों को
हर तरफ़ बर्बादियाँ हैं गर करे भी दिल तो क्या अब
बह गए जज़्बात सारे साथ मेरे आँसुओं के
कुछ बचा मुझमें कहाँ जो कर सकूँ तुझपे फ़ना अब
थी शिकायत ये ख़ुदा बस चार दिन की ज़िन्दगी दी
संग जो कुछ पल बिताएँ है नहीं ये भी गिला अब
पूछना मुझसे न कोई है किधर मेरा ठिकाना
खो गया हूँ मैं कहाँ ख़ुद है नहीं मुझको पता अब
माँ को दुख है क्यूँ महीनों बात मैं करता नहीं हूँ
है बना मुझको दिया इस इश्क़ ने कितना बुरा अब
है क़सम 'रेहान' उसकी जिसकी ख़ातिर लिखते हो तुम
गर कभी मिल जाए वो मुड़ के न उसको देखना अब
As you were reading Shayari by Rehaan
our suggestion based on Rehaan
As you were reading undefined Shayari