milna tha ittifaq bichadna naseeb tha
vo utni door ho gaya jitna qareeb tha
main us ko dekhne ko tarasti hi rah gai
jis shakhs ki hatheli pe mera naseeb tha
basti ke saare log hi aatish-parast the
ghar jal raha tha aur samundar qareeb tha
mariyam kahaan talash kare apne khoon ko
har shakhs ke gale mein nishaan-e-saleeb tha
dafna diya gaya mujhe chaandi ki qabr mein
main jis ko chahti thi vo ladka gareeb tha
मिलना था इत्तिफ़ाक़ बिछड़ना नसीब था
वो उतनी दूर हो गया जितना क़रीब था
मैं उस को देखने को तरसती ही रह गई
जिस शख़्स की हथेली पे मेरा नसीब था
बस्ती के सारे लोग ही आतिश-परस्त थे
घर जल रहा था और समुंदर क़रीब था
मरियम कहाँ तलाश करे अपने ख़ून को
हर शख़्स के गले में निशान-ए-सलीब था
दफ़ना दिया गया मुझे चाँदी की क़ब्र में
मैं जिस को चाहती थी वो लड़का ग़रीब था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anjum Rehbar
our suggestion based on Anjum Rehbar
As you were reading Child labour Shayari Shayari