hadein badhne lagi theen teergi ki
kami jab ho gai thi raushni ki
khuda tu hi bata kis baat pe ye
saza hamko mili hai zindagi ki
koi karta nahin hai intizaar ab
zaroorat hi nahin padti ghadi ki
karein duniya jahaan ki fikr kyun ham
hamaari umr hai aawaargi ki
ham ik muddat se roye ja rahe hain
chukaani pad gayi qeemat hasi ki
main kha kar chot dil pe sochta hoon
mujhe kya thi zaroorat dil-lagi ki
khushi mein yaad bhi aata nahin jo
jab aaya gham usi ki bandagi ki
main ab har cheez se ukta chuka hoon
mujhe mat do duaayein zindagi ki
हदें बढ़ने लगी थीं तीरगी की
कमी जब हो गई थी रौशनी की
ख़ुदा तू ही बता किस बात पे ये
सज़ा हमको मिली है ज़िन्दगी की
कोई करता नहीं है इंतिज़ार अब
ज़रूरत ही नहीं पड़ती घड़ी की
करें दुनिया जहां की फ़िक्र क्यों हम?
हमारी उम्र है आवारगी की
हम इक मुद्दत से रोए जा रहे हैं
चुकानी पड़ गयी क़ीमत हंसी की
मैं खा कर चोट दिल पे सोचता हूँ
मुझे क्या थी ज़रूरत दिल-लगी की
खुशी में याद भी आता नहीं जो
जब आया ग़म उसी की बंदगी की
मैं अब हर चीज़ से उकता चुका हूँ
मुझे मत दो दुआएं ज़िन्दगी की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Maurya
our suggestion based on Ankit Maurya
As you were reading Jashn Shayari Shayari