jab uski hi agar marzi nahin hai
kisi ki phir yahaan chalti nahin hai
yahaan pe maut bhi sasti nahin hai
piyaala hai magar whiskey nahin hai
ye samjhen dekh kar duniya ke gham ko
hamaara gham abhi kuchh bhi nahin hai
mohabbat class hai jismein kabhi bhi
khayaal-e-yaar se chhutti nahin hai
hamaare paas le. ke aaiye dil
hamaari husn se banti nahin hai
sada to door nai hai raushni bhi
dar-e-zindaan hai khidki nahin hai
nahin mumkin yahaan pe khudkushi bhi
hai pankha to magar rassi nahin hai
जब उसकी ही अगर मर्ज़ी नहीं है
किसी की फिर यहां चलती नहीं है
यहां पे मौत भी सस्ती नहीं है
पियाला है मगर व्हिस्की नहीं है
ये समझें देख कर दुनिया के ग़म को
हमारा ग़म अभी कुछ भी नहीं है
मोहब्बत क्लास है जिसमें कभी भी
ख़याल-ए-यार से छुट्टी नहीं है
हमारे पास लेे के आइए दिल
हमारी हुस्न से बनती नहीं है
सदा तो दूर नइ है रौशनी भी
दर-ए-ज़िंदान है खिड़की नहीं है
नहीं मुमकिन यहां पे ख़ुदकुशी भी
है पंखा तो मगर रस्सी नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Maurya
our suggestion based on Ankit Maurya
As you were reading Maut Shayari Shayari