isse pehle koii aakar ke bacha le mujhko
hijr mera hi kahin maar na dale mujhko
ab to saahil pe pahunch kar hi main kuchh dam loonga
is se pehle ye samandar jo uchaale mujhko
jis tarah shahad ko makki ne chhupaaya akshar
is tarah maa tu bhi aanchal mein chhupa le mujhko
ye garz meri thi manzil pe ruka hoon aakar
dard dete hi rahe paanv ke chaale mujhko
chaand se jab bhi meri baat bigad jaayegi
mil ke jugnoo hi sabhi denge ujaale mujhko
isliye bhi ise jaageer samajhta hoon main
mar ke hona hi hai mitti ke hawaale mujhko
इससे पहले कोई आकर के बचा ले मुझको
हिज्र मेरा ही कहीं मार न डाले मुझको
अब तो साहिल पे पहुँच कर ही मैं कुछ दम लूँगा
इस से पहले ये समंदर जो उछाले मुझको
जिस तरह शहद को मक्खी ने छुपाया अक्सर
इस तरह माँ तू भी आँचल में छुपा ले मुझको
ये ग़रज़ मेरी थी मंज़िल पे रुका हूँ आकर
दर्द देते ही रहे पाँव के छाले मुझको
चाँद से जब भी मिरी बात बिगड़ जाएगी
मिल के जुगनू ही सभी देंगे उजाले मुझको
इसलिए भी इसे जागीर समझता हूँ मैं
मर के होना ही है मिट्टी के हवाले मुझको
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ansar Etvi
our suggestion based on Ansar Etvi
As you were reading Aah Shayari Shayari