maine tab tab qaraar paaya hai
paas jab gham-gusaar aaya hai
mujhko kuchh bhi nazar nahin aata
darmiyaan jab gubaar aaya hai
chal ke unko salaam karte hain
peer-o-murshid ka dwaar aaya hai
mujhko khaani padi hain kuchh qasmen
usko tab etibaar aaya hai
uski soorat haseen lagti hai
us pe kaafi nikhaar aaya hai
मैंने तब तब क़रार पाया है
पास जब ग़म-गुसार आया है
मुझको कुछ भी नज़र नहीं आता
दरमियाँ जब गुबार आया है
चल के उनको सलाम करते हैं
पीर-ओ-मुर्शिद का द्वार आया है
मुझको खानी पड़ी हैं कुछ क़समें
उसको तब एतिबार आया है
उसकी सूरत हसीन लगती है
उस पे काफ़ी निखार आया है
As you were reading Shayari by Ansar Etvi
our suggestion based on Ansar Etvi
As you were reading undefined Shayari