bhala apne liye aisi himaqat kaun karta hai | भला अपने लिए ऐसी हिमाक़त कौन करता है

  - Ansar Etvi

bhala apne liye aisi himaqat kaun karta hai
charaagon ki hawaon se hifaazat kaun karta hai

usoolon ki bahut si baat karte hain jahaan mein sab
usoolon ke liye jaaiz himayat kaun karta hai

zara si baat par insaan sab rishte bhula deta
yahan apne kiye par ab nadaamat kaun karta hai

jise dekho use apne khazane ki hi fikren hain
gareebon ke nivaalon ki qayaadat kaun karta hai

kaha bilkul nahin maine jahaan saara munaafiq hai
magar mazloom ke haq mein bagaavat kaun karta hai

भला अपने लिए ऐसी हिमाक़त कौन करता है
चराग़ों की हवाओं से हिफ़ाज़त कौन करता है

उसूलों की बहुत सी बात करते हैं जहाँ में सब
उसूलों के लिए जाइज़ हिमायत कौन करता है

ज़रा सी बात पर इंसान सब रिश्ते भुला देता
यहाँ अपने किए पर अब नदामत कौन करता है

जिसे देखो उसे अपने ख़ज़ाने की ही फ़िक्रें हैं
ग़रीबों के निवालों की क़यादत कौन करता है

कहा बिल्कुल नहीं मैंने जहाँ सारा मुनाफ़िक़ है
मगर मज़लूम के हक़ में बग़ावत कौन करता है

  - Ansar Etvi

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ansar Etvi

As you were reading Shayari by Ansar Etvi

Similar Writers

our suggestion based on Ansar Etvi

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari