manzil mili usi ko isee ik lagan ke saath
chaani ho khaaq jis ne bhi apne badan ke saath
us shakhs se na poochiye uski khushi ka haal
jisne guzaare din kai ik pairhan ke saath
apne kiye pe usko nadaamat nahin hai aaj
rahbar khada hai mera kisi raahzan ke saath
jis anjuman mein uski khilaafat hui ho roz
dekha hai hamne usko usi anjuman ke saath
jis shakhs ko ye ranj ho mehkenge ab to phool
khilwaad vo hi karta hai apne chaman ke saath
मंज़िल मिली उसी को इसी इक लगन के साथ
छानी हो खाक़ जिस ने भी अपने बदन के साथ
उस शख़्स से ना पूछिये उसकी ख़ुशी का हाल
जिसने गुज़ारे दिन कई इक पैरहन के साथ
अपने किये पे उसको नदामत नहीं है आज
रहबर खड़ा है मेरा किसी राहज़न के साथ
जिस अंजुमन में उसकी ख़िलाफ़त हुई हो रोज़
देखा है हमने उसको उसी अंजुमन के साथ
जिस शख़्स को ये रंज हो महकेंगे अब तो फूल
खिलवाड़ वो ही करता है अपने चमन के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ansar Etvi
our suggestion based on Ansar Etvi
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari