vo ham mein se hi the koii jinhonne dil dukhaaya hai
abhi kuchh din hi pehle nirbhaya ko bhi rulaaya hai
agar vo aaj khud ye dekh lete sher kya kahte
ki ab ghalib ke kolkata mein tumne khoo bahaaya hai
tumhaare ghar mein maan-beevi behan-beti nahin hoti
ye karke naam tumne saare mardon ka dubaaya hai
tumhein khud sharm aani chahiye mamta ye kehne mein
ki aurat ho ke tumne phir usi ka haq mitaaya hai
suno ai ladkiyo cheekhen hazaaron saal is jaisi
tumhein haq maangna aisi hi cheekhon ne sikhaaya hai
वो हम में से ही थे कोई जिन्होंने दिल दुखाया है
अभी कुछ दिन ही पहले निर्भया को भी रुलाया है
अगर वो आज ख़ुद ये देख लेते शेर क्या कहते
कि अब ग़ालिब के कलकत्ते में तुमने ख़ूॅं बहाया है
तुम्हारे घर में माँ-बीवी बहन-बेटी नहीं होती
ये करके नाम तुमने सारे मर्दों का डुबाया है
तुम्हें ख़ुद शर्म आनी चाहिए ममता ये कहने में
कि औरत हो के तुमने फिर उसी का हक़ मिटाया है
सुनो ऐ लड़कियो चीखें हज़ारों साल इस जैसी
तुम्हें हक़ माँगना ऐसी ही चीखों ने सिखाया है
As you were reading Shayari by Anubhav Gurjar
our suggestion based on Anubhav Gurjar
As you were reading undefined Shayari