tere hone ka ye asar aaya
yaad mujhko tu umr bhar aaya
tujhko manzil bana ke chalta tha
mere hisse mein bas safar aaya
jo bhi chhoota hai raah mein mujhse
lautkar phir nahi vo ghar aaya
dard had se guzar gaya mera
jab bhi tera kabhi shehar aaya
aaina saaf kar raha tha main
mera dushman mujhe nazar aaya
तेरे होने का ये असर आया
याद मुझको तू उम्र भर आया
तुझको मंज़िल बना के चलता था
मेरे हिस्से में बस सफ़र आया
जो भी छूटा है राह में मुझसे
लौटकर फिर नही वो घर आया
दर्द हद से गुज़र गया मेरा
जब भी तेरा कभी शहर आया
आइना साफ़ कर रहा था मैं
मेरा दुश्मन मुझे नज़र आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by anupam shah
our suggestion based on anupam shah
As you were reading Aah Shayari Shayari