ilaahi khair ho ab apne aashiyaane ki | इलाही ख़ैर हो अब अपने आशियाने की

  - Anwar Taban

ilaahi khair ho ab apne aashiyaane ki
nigaahen us ki taraf phir uthiin zamaane ki

hawaa-e-tund guzar jaaye sar-nigoon ho kar
ik aisa aashiyaan koshish karo banaane ki

khizaan ke aane se ho jaayen gham-zada jo phool
unhen qasam hai bahaaron mein muskuraane ki

kisi ki barq-e-nazar se na bijliyon se jale
kuchh is tarah ki ho ta'aamir aashiyaane ki

vo poochte hain ki din kis tarah guzarte hain
ye koi baat hai taabaan unhen bataane ki

इलाही ख़ैर हो अब अपने आशियाने की
निगाहें उस की तरफ़ फिर उठीं ज़माने की

हवा-ए-तुंद गुज़र जाए सर-निगूँ हो कर
इक ऐसा आशियाँ कोशिश करो बनाने की

ख़िज़ाँ के आने से हो जाएँ ग़म-ज़दा जो फूल
उन्हें क़सम है बहारों में मुस्कुराने की

किसी की बर्क़-ए-नज़र से न बिजलियों से जले
कुछ इस तरह की हो ता'मीर आशियाने की

वो पूछते हैं कि दिन किस तरह गुज़रते हैं
ये कोई बात है 'ताबाँ' उन्हें बताने की

  - Anwar Taban

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anwar Taban

As you were reading Shayari by Anwar Taban

Similar Writers

our suggestion based on Anwar Taban

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari