dil tujhe milne se kyun aur bikhar jaata hai | दिल तुझे मिलने से क्यों और बिखर जाता है

  - arjun chamoli

dil tujhe milne se kyun aur bikhar jaata hai
kyun ye hota hai tire saaye se dar jaata hai

ab to khushboo kii tarah gher liya hai tune
tu bata ab ki tira dil ye kidhar jaata hai

khoobsurat hai safar ye dil-o-jaan mehkaaye
har safar to mera pal mein hi guzar jaata hai

faisla ho ki shab-e-hijr nahin aayegi
ham-nafs chhoota hai zakhm ubhar jaata hai

jaanta hoon tu mujhe chhod chali jaayegi
rag-e-jaan mein mere khun chad ke utar jaata hai

दिल तुझे मिलने से क्यों और बिखर जाता है
क्यों ये होता है तिरे साए से डर जाता है

अब तो ख़ुशबू की तरह घेर लिया है तूने
तू बता अब कि तिरा दिल ये किधर जाता है

ख़ूबसूरत है सफ़र ये दिल-ओ-जाँ महकाए
हर सफ़र तो मिरा पल में ही गुज़र जाता है

फ़ैसला हो कि शब-ए-हिज्र नहीं आएगी
हम-नफ़स छूटता है ज़ख़्म उभर जाता है

जानता हूँ तू मुझे छोड़ चली जाएगी
रग-ए-जाँ में मिरे ख़ूँ चढ़ के उतर जाता है

  - arjun chamoli

More by arjun chamoli

As you were reading Shayari by arjun chamoli

Similar Writers

our suggestion based on arjun chamoli

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari