lafz ke maani badalte rahe ashaar mein
ab havas ko pyaar ka naam de sansaar mein
bhaav sone ka chadha pyaar kii qeemat ghati
phir bhi gehnon ke khareedaar hain bazaar mein
aag bujhni chahiye jism kii kaise bhi ho
kya karenge pyaar ka aaj kii raftaar mein
jaan majnoon ne luta di mohabbat mein kabhi
khud ko beche aaj laila bhare-bazaar mein
roz aage badh raha jo mohabbat chhodkar
husn ke bore bhare us ke hi kuthyaar mein
लफ़्ज़ के मानी बदलते रहे अशआर में
अब हवस को प्यार का नाम दे संसार में
भाव सोने का चढ़ा प्यार की क़ीमत घटी
फिर भी गहनों के ख़रीदार हैं बाज़ार में
आग बुझनी चाहिए जिस्म की कैसे भी हो
क्या करेंगे प्यार का आज की रफ़्तार में
जान मजनूँ ने लुटा दी मोहब्बत में कभी
ख़ुद को बेचे आज लैला भरे-बाज़ार में
रोज़ आगे बढ़ रहा जो मोहब्बत छोड़कर
हुस्न के बोरे भरे उस के ही कुठयार में
As you were reading Shayari by arjun chamoli
our suggestion based on arjun chamoli
As you were reading undefined Shayari