mera aks tha mera aashna vo nazar mujhi se chura gaya | मिरा अक्स था मिरा आश्ना वो नज़र मुझी से चुरा गया

  - arjun chamoli

mera aks tha mera aashna vo nazar mujhi se chura gaya
vo aziz tha mera hum-safar mujhe raaste mein bhula gaya

main daba raha usi raaz se ki kabhi kisi ko bata na de
wahi lootata raha jaan meri wahi raaz sab ko bata gaya

jo likha hua tha naseeb mein na mila mujhe meri raah mein
vo badal gaya tha naseeb ko mujhe gardishon mein ghuma gaya

mera waqt mujh se khafa tha jab main talash karta tha raushni
meri raushni ka gumaan tha jo wahi raushni ko bujha gaya

vo zabaan se farz ka noor tha vo karam mein tha bada bewafa
meri aankh khulne se pehle hi mujhe zindagi se hata gaya

मिरा अक्स था मिरा आश्ना वो नज़र मुझी से चुरा गया
वो अज़ीज़ था मिरा हम-सफ़र मुझे रास्ते में भुला गया

मैं दबा रहा उसी राज़ से कि कभी किसी को बता न दे
वही लूटता रहा जाँ मिरी वही राज़ सब को बता गया

जो लिखा हुआ था नसीब में न मिला मुझे मिरी राह में
वो बदल गया था नसीब को मुझे गर्दिशों में घुमा गया

मिरा वक़्त मुझ से ख़फ़ा था जब मैं तलाश करता था रौशनी
मिरी रौशनी का गुमाँ था जो वही रौशनी को बुझा गया

वो ज़बाँ से फ़र्ज़ का नूर था वो करम में था बड़ा बेवफ़ा
मिरी आँख खुलने से पहले ही मुझे ज़िंदगी से हटा गया

  - arjun chamoli

More by arjun chamoli

As you were reading Shayari by arjun chamoli

Similar Writers

our suggestion based on arjun chamoli

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari