tire dar pe sar ko jhuka aaye koii | तिरे दर पे सर को झुका आए कोई

  - arjun chamoli

tire dar pe sar ko jhuka aaye koii
ki mandir mein diya jala jaaye koii

na gul hai na gulshan na phoolon kii kyaari
samaa phir bhi chupke se mehkaaye koii

zamaane ne mujhko kai baar maara
dukhi dil mera phir bhi sahlaaye koii

qareebi ka har raaz khulna nahin hai
ye dil chahe nazdeek yun aaye koii

mohabbat ka aaghaaz bas mein nahin hai
to anjaam se kaise dar jaaye koii

chalo sochna kya ghazal ke liye ab
mera qaafiya tootaa jaaye koii

तिरे दर पे सर को झुका आए कोई
कि मंदिर में दीया जला जाए कोई

न गुल है न गुलशन न फूलों की क्यारी
समा फिर भी चुपके से महकाए कोई

ज़माने ने मुझको कई बार मारा
दुखी दिल मेरा फिर भी सहलाए कोई

क़रीबी का हर राज़ खुलना नहीं है
ये दिल चाहे नज़दीक यूँ आए कोई

मोहब्बत का आग़ाज़ बस में नहीं है
तो अंजाम से कैसे डर जाए कोई

चलो सोचना क्या ग़ज़ल के लिए अब
मिरा क़ाफ़िया टूटता जाए कोई

  - arjun chamoli

More by arjun chamoli

As you were reading Shayari by arjun chamoli

Similar Writers

our suggestion based on arjun chamoli

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari