siyaasi nafraton ki zad mein aayenge humeen kab tak | सियासी नफ़रतों की ज़द में आएँगे हमीं कब तक

  - A R Sahil "Aleeg"

siyaasi nafraton ki zad mein aayenge humeen kab tak
bhigo kar shah rakkhega lahu mein aasteen kab tak

kai kankar wafa ki jheel mein main fenk aaya hoon
ubhar kar sath par aayenge dekhen tahansheen kab tak

bharam ke paanv ki zanjeer ko sach tod hi dega
kisi ke jhooth par koi karega bhi yaqeen kab tak

rakhega waqt un ke roo-b roo bhi aaina ik din
jahaan ke aib hi dekha karenge nuqta cheen kab tak

nigaahon se hi vo har shakhs ko kaafir bana degi
bachegi ye havas ke saaye se rooh-e-ameen kab tak

ajab nafrat bahaata hai lahu insaan ka insaan hi
lahu se tar-batar hogi batao ye zameen kab tak

hui patthar sift ab to kisi ki muntazir aankhen
bhala ye dekhtein aakhir rukhe-maah-e-mubeen kab tak

bata kab tak karoon sajda teri dahleez par aakhir
jhukaauñ main jabeen apni bhala ai mah-jabeen kab tak

ghazal ki shakl mein dhaalunga kab tak apne dardo-gam
taraashoonga main kaagaz par ye soorat-e-nageen kab tak

na jaane kab rihaa is qaid se ham honge ai saahil
sataaye'nge hamaari zindagi ko ye kufr-o-deen kab tak

सियासी नफ़रतों की ज़द में आएँगे हमीं कब तक
भिगो कर शाह रक्खेगा लहू में आस्तीं कब तक

कई कंकर वफ़ा की झील में मैं फेंक आया हूँ
उभर कर सत्ह पर आएँगे देखें तहनशीं कब तक

भरम के पाँव की ज़ंजीर को सच तोड़ ही देगा
किसी के झूठ पर कोई करेगा भी यक़ीं कब तक

रखेगा वक़्त उन के रू-ब -रू भी आइना इक दिन
जहाँ के ऐब ही देखा करेंगे नुक़्ता- चीं कब तक

निगाहों से ही वो हर शख़्स को काफ़िर बना देगी
बचेगी ये हवस के साये से रूह-ए-अमीं कब तक

अजब नफ़रत बहाता है लहू इंसाँ का इंसाँ ही
लहू से तर-बतर होगी बताओ ये ज़मीं कब तक

हुई पत्थर सिफ़त अब तो किसी की मुंतज़िर आँखें
भला ये देखतीं आख़िर रुख़े-माहे-मुबीं कब तक

बता कब तक करूँ सजदा तेरी दहलीज़ पर आख़िर
झुकाऊँ मैं जबीं अपनी भला ऐ मह-जबीं कब तक

ग़ज़ल की शक्ल में ढालूँगा कब तक अपने दर्दो-ग़म
तराशूँगा मैं काग़ज़ पर ये सूरत-ए-नगीं कब तक

न जाने कब रिहा इस क़ैद से हम होंगे ऐ साहिल
सताएँगे हमारी ज़ीस्त को ये कुफ़्र-ओ-दीं कब तक

  - A R Sahil "Aleeg"

Mahatma Gandhi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari