kuchh bhi ho vo ab dil se juda ho nahin sakte
ham mujrim-e-toheen-e-wafa ho nahin sakte
ai mauj-e-hawaadis tujhe maaloom nahin kya
ham ahl-e-mohabbat hain fana ho nahin sakte
itna to bata jaao khafa hone se pehle
vo kya karein jo tum se khafa ho nahin sakte
ik aap ka dar hai meri duniya-e-aqeedat
ye sajde kahi aur ada ho nahin sakte
ahbaab pe deewane asad kaisa bharosa
ye zahar bhare ghoont rawa ho nahin sakte
कुछ भी हो वो अब दिल से जुदा हो नहीं सकते
हम मुजरिम-ए-तौहीन-ए-वफ़ा हो नहीं सकते
ऐ मौज-ए-हवादिस तुझे मालूम नहीं क्या
हम अहल-ए-मोहब्बत हैं फ़ना हो नहीं सकते
इतना तो बता जाओ ख़फ़ा होने से पहले
वो क्या करें जो तुम से ख़फ़ा हो नहीं सकते
इक आप का दर है मिरी दुनिया-ए-अक़ीदत
ये सज्दे कहीं और अदा हो नहीं सकते
अहबाब पे दीवाने 'असद' कैसा भरोसा
ये ज़हर भरे घूँट रवा हो नहीं सकते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Asad Bhopali
our suggestion based on Asad Bhopali
As you were reading Terrorism Shayari Shayari