vasl ki to kabhi furqat ki ghazal likhte hain | वस्ल की तो कभी फ़ुर्क़त की ग़ज़ल लिखते हैं - Ashok Mizaj Badr

vasl ki to kabhi furqat ki ghazal likhte hain
hum to sha'ir hain mohabbat ki ghazal likhte hain

padhiye un ko kisi kaaghaz pe nahin sarhad par
apne khun se jo shahaadat ki ghazal likhte hain

rehnuma apne watan ke bhi hain kitne shaatir
vo shahaadat pe siyaasat ki ghazal likhte hain

tum ne mazdoor ke chaale nahin dekhe shaayad
apne haathon pe vo mehnat ki ghazal likhte hain

mulk aise bhi hain kuch khaas padosi apne
sarhadon pe jo adavat ki ghazal likhte hain

hum sabhi chain se sote hain magar raaton mein
fauj waale to hifazat ki ghazal likhte hain

shauq likhne ka bahut hum ko bhi hai lekin hum
sone ke pen se gurbat ki ghazal likhte hain

वस्ल की तो कभी फ़ुर्क़त की ग़ज़ल लिखते हैं
हम तो शाइ'र हैं मोहब्बत की ग़ज़ल लिखते हैं

पढ़िए उन को किसी काग़ज़ पे नहीं सरहद पर
अपने ख़ूँ से जो शहादत की ग़ज़ल लिखते हैं

रहनुमा अपने वतन के भी हैं कितने शातिर
वो शहादत पे सियासत की ग़ज़ल लिखते हैं

तुम ने मज़दूर के छाले नहीं देखे शायद
अपने हाथों पे वो मेहनत की ग़ज़ल लिखते हैं

मुल्क ऐसे भी हैं कुछ ख़ास पड़ोसी अपने
सरहदों पे जो अदावत की ग़ज़ल लिखते हैं

हम सभी चैन से सोते हैं मगर रातों में
फ़ौज वाले तो हिफ़ाज़त की ग़ज़ल लिखते हैं

शौक़ लिखने का बहुत हम को भी है लेकिन हम
सोने के पेन से ग़ुर्बत की ग़ज़ल लिखते हैं

- Ashok Mizaj Badr
3 Likes

Mazdoor Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ashok Mizaj Badr

As you were reading Shayari by Ashok Mizaj Badr

Similar Writers

our suggestion based on Ashok Mizaj Badr

Similar Moods

As you were reading Mazdoor Shayari Shayari