yaar tum bhi kamaal karte ho
phir bura mera haal karte ho
waqt par khud kabhi nahin milte
aur mujh se malaal karte ho
ik to galati meri nahin hoti
tum mujhi se sawaal karte ho
koii khilta gulaab lagte ho
jab bhi gaalon ko laal karte ho
ye batao ye qudrati hai ya
roz in par gulaal karte ho
husn bhi theek hai magar aatif
baatein tum be-misaal karte ho
यार तुम भी कमाल करते हो
फिर बुरा मेरा हाल करते हो
वक़्त पर ख़ुद कभी नहीं मिलते
और मुझ से मलाल करते हो
इक तो गलती मिरी नहीं होती
तुम मुझी से सवाल करते हो
कोई खिलता गुलाब लगते हो
जब भी गालों को लाल करते हो
ये बताओ ये क़ुदरती है या
रोज़ इन पर गुलाल करते हो
हुस्न भी ठीक है मगर 'आतिफ'
बातें तुम बे-मिसाल करते हो
As you were reading Shayari by Atif khan
our suggestion based on Atif khan
As you were reading undefined Shayari