phir wahi qissa sunaana to chahiye
phir wahi sapna sajaana to chahiye
yun mashqat ishq mein karne chahiye
jaam nazon se pilaana to chahiye
ab khata karne jahaan jaana chahiye
ab pata uska bataana to chahiye
dil jagaakar neend mein khaabo ko sula
ye jahaan apna banaana to chahiye
din nikalte hi jagaate ho tum kise
shaam ko aa kar bataana to chahiye
rokti hai gar numaish thakne se tab
is ata se ghar banaana to chahiye
aapbeeti aadatan ya beemaar hai
dard kitna hai bataana to chahiye
aasmaan se guftugoo hoti hi nahin
lad jhagadne ko zamaana to chahiye
फिर वही क़िस्सा सुनाना तो चाहिए
फिर वही सपना सजाना तो चाहिए
यूँ मशक़्क़त इश्क़ में करनी चाहिए
जाम नज़रों से पिलाना तो चाहिए
अब ख़ता करने जहाँ जाना चाहिए
अब पता उसका बताना तो चाहिए
दिल जगाकर नींद में ख़्वाबों को सुला
ये जहाँ अपना बनाना तो चाहिए
दिन निकलते ही जगाते हो तुम किसे
शाम को आ कर बताना तो चाहिए
रोकती है गर नुमाइश थकने से तब
इस अता से घर बनाना तो चाहिए
आपबीती, आदतन या बीमार है
दर्द कितना है बताना तो चाहिए
आसमाँ से गुफ़्तुगू होती ही नहीं
लड़ झगड़ने को ज़माना तो चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Muhammad Asif Ali
our suggestion based on Muhammad Asif Ali
As you were reading Gham Shayari Shayari