aankh ke parde par chhaai ra'naai ho
tum meri raat mein khwaab ban aayi ho
tere hi naam se chhede hain sab mujhe
ho mera ishq ya phir tamaashaai ho
bujh gaye sab sitaare tujhe dekh kar
chat pe jab zulf lahara ke itraai ho
saath tere raha par na paagal hua
hai agar baat aisi to ruswaai ho
main jidhar dekhoon tum hi nazar aati ho
mujh pe tum aasmaan ki tarah chhaai ho
tu bani noor se khaak kabron ki main
apni kismat mein kese shanaashaai ho
khushnuma aur bhi to hain chehre yahan
tum hi kyun mere tanhaan tamannaai ho
tu na ho teri yaadein na tasveer ho
ho agar to musalsal hi tanhaai ho
ho ke barbaad hogi mukammal ghazal
phoonk kagaz kalam harf-aaraai ho
faanke hi faanke sayyad ki kismat mein hain
kis ghadi mein ye tum mujhse takraai ho
आँख के पर्दे पर छाई रा'नाई हो
तुम मेरी रात में ख़्वाब बन आई हो
तेरे ही नाम से छेड़े हैं सब मुझे
हो मेरा इश्क़ या फिर तमाशाई हो
बुझ गए सब सितारे तुझे देख कर
छत पे जब ज़ुल्फ़ लहरा के इतराई हो
साथ तेरे रहा पर न पागल हुआ
है अगर बात ऐसी तो रुसवाई हो
मैं जिधर देखूँ तुम ही नज़र आती हो
मुझ पे तुम आसमाँ की तरह छाई हो
तू बनी नूर से, ख़ाक कबरों की मैं
अपनी किस्मत में केसे शनाशाई हो
खुशनुमा और भी तो हैं चेहरे यहाँ
तुम ही क्यों मेरे तन्हां तमन्नाई हो
तू न हो, तेरी यादें न तस्वीर हो
हो अगर तो मुसलसल ही तन्हाई हो
हो के बरबाद होगी मुकम्मल ग़ज़ल
फूँक कागज़ कलम हर्फ़-आराई हो
फांके ही फांके सय्यद की किस्मत में हैं
किस घड़ी में ये तुम मुझसे टकराई हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading Kismat Shayari Shayari