khula rehta hai subh-o-shaam mere ghar ka darwaaza | खुला रहता है सुबह-ओ-शाम मेरे घर का दरवाज़ा

  - Ayush Saklani

khula rehta hai subh-o-shaam mere ghar ka darwaaza
lihaaza hai bada naakaam mere ghar ka darwaaza

mere ahbaab is ghar ki sabhi cheezein ko bikwa kar
na kar paaye magar neelaam mere ghar ka darwaaza

darakhton ne qasam khaai bashar ki paasbaani ki
banaya maine ta-anjaam mere ghar ka darwaaza

raha ghar mein mere vo par mera kamra nahin dekha
kamata hai yahi ilzaam mere ghar ka darwaaza

main khud to shorgul ko dekh andar baith jaata hoon
ki dekha karta hai kohraam mere ghar ka darwaaza

mere ghar mein bhi paigambar khuda ka koi to aaye
bulaata hai tujhe ibraam mere ghar ka darwaaza

ki aayush jab talak is ghar mein tu ghazlein sunaayega
rahega tab talak badnaam mere ghar ka darwaaza

खुला रहता है सुबह-ओ-शाम मेरे घर का दरवाज़ा
लिहाज़ा है बड़ा नाकाम मेरे घर का दरवाज़ा

मिरे अहबाब इस घर की सभी चीज़ों को बिकवा कर
न कर पाए मगर नीलाम मेरे घर का दरवाज़ा

दरख़्तों ने क़सम खाई बशर की पासबानी की
बनाया मैंने ता-अंजाम मेरे घर का दरवाज़ा

रहा घर में मिरे वो पर मिरा कमरा नहीं देखा
कमाता है यही इल्ज़ाम मेरे घर का दरवाज़ा

मैं ख़ुद तो शोरगुल को देख अंदर बैठ जाता हूँ
कि देखा करता है कोहराम मेरे घर का दरवाज़ा

मिरे घर में भी पैगंबर ख़ुदा का कोई तो आए
बुलाता है तुझे इबराम मेरे घर का दरवाज़ा

कि 'आयुष' जब तलक इस घर में तू ग़ज़लें सुनाएगा
रहेगा तब तलक बदनाम मेरे घर का दरवाज़ा

  - Ayush Saklani

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ayush Saklani

As you were reading Shayari by Ayush Saklani

Similar Writers

our suggestion based on Ayush Saklani

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari