mohabbat ka na duniya ka na deen ka | मोहब्बत का न दुनिया का न दीं का

  - Azhar Faragh

mohabbat ka na duniya ka na deen ka
kisi ka bhi nahin jhoota kahi ka

abhi thi raaste mein aashnaai
station aa gaya us mahjabeen ka

kisi ka paanv chooma ho to samjho
falak se kam nahin rutba zameen ka

use saanpon se khauf aata hai azhar
button lagwaaoon kaise aasteen ka

मोहब्बत का न दुनिया का न दीं का
किसी का भी नहीं झूठा कहीं का

अभी थी रास्ते में आशनाई
स्टेशन आ गया उस महजबीं का

किसी का पाँव चूमा हो तो समझो
फ़लक से कम नहीं रुतबा ज़मीं का

उसे साँपों से ख़ौफ आता है 'अज़हर'
बटन लगवाऊँ कैसे आस्तीं का

  - Azhar Faragh

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhar Faragh

As you were reading Shayari by Azhar Faragh

Similar Writers

our suggestion based on Azhar Faragh

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari