daagh chehre ka yoonhi chhod diya jaata hai | दाग़ चेहरे का यूँही छोड़ दिया जाता है

  - Azhar Nawaz

daagh chehre ka yoonhi chhod diya jaata hai
aaina zid mein magar tod diya jaata hai

teri shohrat ke pas-e-parda mera naam bhi hai
teri laghzish se mujhe jod diya jaata hai

koi kirdaar ada karta hai qeemat is ki
jab kahaani ko naya mod diya jaata hai

ik tawazun jo bigadta hai kabhi rooh ke saath
sheesha-e-jism wahin phod diya jaata hai

दाग़ चेहरे का यूँही छोड़ दिया जाता है
आइना ज़िद में मगर तोड़ दिया जाता है

तेरी शोहरत के पस-ए-पर्दा मिरा नाम भी है
तेरी लग़्ज़िश से मुझे जोड़ दिया जाता है

कोई किरदार अदा करता है क़ीमत इस की
जब कहानी को नया मोड़ दिया जाता है

इक तवाज़ुन जो बिगड़ता है कभी रूह के साथ
शीशा-ए-जिस्म वहीं फोड़ दिया जाता है

  - Azhar Nawaz

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhar Nawaz

As you were reading Shayari by Azhar Nawaz

Similar Writers

our suggestion based on Azhar Nawaz

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari