hijr ki raat yaad aati hai
phir wahi baat yaad aati hai
tum ne chheda to kuchh khule ham bhi
baat par baat yaad aati hai
tum the aur ham the chaand nikla tha
haaye vo raat yaad aati hai
subh ke waqt zarre zarre ki
vo munaajat yaad aati hai
haaye kya cheez thi jawaani bhi
ab to din-raat yaad aati hai
may se tauba to ki aziz magar
akshar auqaat yaad aati hai
हिज्र की रात याद आती है
फिर वही बात याद आती है
तुम ने छेड़ा तो कुछ खुले हम भी
बात पर बात याद आती है
तुम थे और हम थे चाँद निकला था
हाए वो रात याद आती है
सुब्ह के वक़्त ज़र्रे ज़र्रे की
वो मुनाजात याद आती है
हाए क्या चीज़ थी जवानी भी
अब तो दिन-रात याद आती है
मय से तौबा तो की 'अज़ीज़' मगर
अक्सर औक़ात याद आती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aziz Lakhnavi
our suggestion based on Aziz Lakhnavi
As you were reading Judai Shayari Shayari