mera sawaal hai ai qaatilaan-e-shab tum se | मिरा सवाल है ऐ क़ातिलान-ए-शब तुम से

  - Aziz Nabeel

mera sawaal hai ai qaatilaan-e-shab tum se
ki ye zameen munavvar hui hai kab tum se

charaagh bakshe gaye shehr-e-be-basaarat ko
ye kaar-e-khair bhi sarzad hua ajab tum se

vo ek ishq jo ab tak hai tishna-e-takmeel
vo ek daagh jo raushan hai roz-o-shab tum se

meri numood mein vehshat hai meri soch mein shor
bahut alag hai meri zindagi ka dhab tum se

mere khitaab ki shiddat pe cheekhne waalo
tumhaare lehje mein goya hua hoon ab tum se

shikasta rishton ki haathon mein dor thaame hue
main poochta hoon mere dosto sabab tum se

tumhaare naam ki tohmat hai mere sar pe nabeel
juda hai warna mera shajraa-e-nasb tum se

मिरा सवाल है ऐ क़ातिलान-ए-शब तुम से
कि ये ज़मीन मुनव्वर हुई है कब तुम से

चराग़ बख़्शे गए शहर-ए-बे-बसारत को
ये कार-ए-ख़ैर भी सरज़द हुआ अजब तुम से

वो एक इश्क़ जो, अब तक है तिश्ना-ए-तकमील
वो एक दाग़ जो रौशन है रोज़-ओ-शब तुम से

मिरी नुमूद में वहशत है, मेरी सोच में शोर
बहुत अलग है मिरी ज़िंदगी का ढब तुम से

मिरे ख़िताब की शिद्दत पे चीख़ने वालो
तुम्हारे लहजे में गोया हुआ हूँ अब तुम से

शिकस्ता रिश्तों की हाथों में डोर थामे हुए
मैं पूछता हूँ मिरे दोस्तो सबब तुम से

तुम्हारे नाम की तोहमत है मेरे सर पे 'नबील'
जुदा है वर्ना मिरा शजरा-ए-नसब तुम से

  - Aziz Nabeel

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari