subh aur shaam ke sab rang hataaye hue hain
apni awaaz ko tasveer banaaye hue hain
ab hamein chaak pe rakh ya khas-o-khaashaak samajh
kooza-gar ham tiri awaaz pe aaye hue hain
ham nahin itne tahee-chashm ki ro bhi na saken
chand aansu abhi aankhon mein bachaaye hue hain
ham ne khud apni adaalat se saza paai hai
zakham jitne bhi hain apne hi kamaaye hue hain
ai khuda bhej de ummeed ki ik taaza kiran
ham sar-e-dast-e-dua haath uthaaye hue hain
har naya lamha hamein raund ke jaata hai ki ham
apni mutthi mein gaya waqt chhupaaye hue hain
ek muddat hui tum aaye na paighaam koi
phir bhi kuchh yun hai ki ham aas lagaaye hue hain
सुब्ह और शाम के सब रंग हटाए हुए हैं
अपनी आवाज़ को तस्वीर बनाए हुए हैं
अब हमें चाक पे रख या ख़स-ओ-ख़ाशाक समझ
कूज़ा-गर हम तिरी आवाज़ पे आए हुए हैं
हम नहीं इतने तही-चश्म कि रो भी न सकें
चंद आँसू अभी आँखों में बचाए हुए हैं
हम ने ख़ुद अपनी अदालत से सज़ा पाई है
ज़ख़्म जितने भी हैं अपने ही कमाए हुए हैं
ऐ ख़ुदा भेज दे उम्मीद की इक ताज़ा किरन
हम सर-ए-दस्त-ए-दुआ हाथ उठाए हुए हैं
हर नया लम्हा हमें रौंद के जाता है कि हम
अपनी मुट्ठी में गया वक़्त छुपाए हुए हैं
एक मुद्दत हुई तुम आए न पैग़ाम कोई
फिर भी कुछ यूँ है कि हम आस लगाए हुए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aziz Nabeel
our suggestion based on Aziz Nabeel
As you were reading DP Shayari Shayari