parinde jheel par ik rabt-e-roohani mein aaye hain | परिंदे झील पर इक रब्त-ए-रूहानी में आए हैं - Aziz Nabeel

parinde jheel par ik rabt-e-roohani mein aaye hain
kisi bichhde hue mausam ki hairaani mein aaye hain

musalsal dhund halki raushni bheege hue manzar
ye kin barsi hui aankhon ki nigraani mein aaye hain

kai saahil yahan doobe hain aur girdaab toote hain
kai toofaan is thehre hue paani mein aaye hain

main jin lamhon ke saaye mein tumhaare paas pahuncha hoon
vo lamhe sajda ban kar meri peshaani mein aaye hain

nazar bhar kar use dekho to yun mehsoos hota hai
hazaaron rang ik chehre ki tabaani mein aaye hain

परिंदे झील पर इक रब्त-ए-रूहानी में आए हैं
किसी बिछड़े हुए मौसम की हैरानी में आए हैं

मुसलसल धुँद हल्की रौशनी भीगे हुए मंज़र
ये किन बरसी हुई आँखों की निगरानी में आए हैं

कई साहिल यहाँ डूबे हैं और गिर्दाब टूटे हैं
कई तूफ़ान इस ठहरे हुए पानी में आए हैं

मैं जिन लम्हों के साए में तुम्हारे पास पहुँचा हूँ
वो लम्हे सज्दा बन कर मेरी पेशानी में आए हैं

नज़र भर कर उसे देखो तो यूँ महसूस होता है
हज़ारों रंग इक चेहरे की ताबानी में आए हैं

- Aziz Nabeel
1 Like

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari