jis taraf chaahoon pahunch jaaun masafat kaisi | जिस तरफ़ चाहूँ पहुँच जाऊँ मसाफ़त कैसी

  - Aziz Nabeel

jis taraf chaahoon pahunch jaaun masafat kaisi
main to awaaz hoon awaaz ki hijrat kaisi

sunne waalon ki samaat gai goyaai bhi
qissa-go tu ne sunaai thi hikaayat kaisi

ham junoon waale hain ham se kabhi poocho pyaare
dasht kahte hain kise dasht ki vehshat kaisi

aap ke khauf se kuchh haath badhe hain lekin
dast-e-majboor ki sahmi hui bai'at kaisi

phir naye saal ki sarhad pe khade hain ham log
raakh ho jaayega ye saal bhi hairat kaisi

aur kuchh zakham mere dil ke hawaale meri jaan
ye mohabbat hai mohabbat mein shikaayat kaisi

main kisi aankh se chhalaka hua aansu hoon nabeel
meri taaid hi kya meri bagaavat kaisi

जिस तरफ़ चाहूँ पहुँच जाऊँ मसाफ़त कैसी
मैं तो आवाज़ हूँ आवाज़ की हिजरत कैसी

सुनने वालों की समाअत गई गोयाई भी
क़िस्सा-गो तू ने सुनाई थी हिकायत कैसी

हम जुनूँ वाले हैं हम से कभी पूछो प्यारे
दश्त कहते हैं किसे दश्त की वहशत कैसी

आप के ख़ौफ़ से कुछ हाथ बढ़े हैं लेकिन
दस्त-ए-मजबूर की सहमी हुई बैअत कैसी

फिर नए साल की सरहद पे खड़े हैं हम लोग
राख हो जाएगा ये साल भी हैरत कैसी

और कुछ ज़ख़्म मिरे दिल के हवाले मिरी जाँ
ये मोहब्बत है मोहब्बत में शिकायत कैसी

मैं किसी आँख से छलका हुआ आँसू हूँ 'नबील'
मेरी ताईद ही क्या मेरी बग़ावत कैसी

  - Aziz Nabeel

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari