ye kis vehshat-zada lamhe mein daakhil ho gaye hain | ये किस वहशत-ज़दा लम्हे में दाख़िल हो गए हैं

  - Aziz Nabeel

ye kis vehshat-zada lamhe mein daakhil ho gaye hain
ham apne aap ke madd-e-muqaabil ho gaye hain

kai chehre meri sochon se zaail ho gaye hain
kai lehje mere lehje mein shaamil ho gaye hain

khuda ke naam se toofaan mein kashti utaari
bhanwar jitne samundar mein the saahil ho gaye hain

vo kuchh pal jin ki thandi chaanv mein tum ho hamaare
wahi kuchh pal to jeevan bhar ka haasil ho gaye hain

uljhte ja rahe hain justuju ke par musalsal
zameen-ta-aasmaan kitne masaail ho gaye hain

nabeel awaaz bhi apni kahaan thi muddaton se
jo tum aaye to ham yak-lakht mehfil ho gaye hain

ये किस वहशत-ज़दा लम्हे में दाख़िल हो गए हैं
हम अपने आप के मद्द-ए-मुक़ाबिल हो गए हैं

कई चेहरे मिरी सोचों से ज़ाइल हो गए हैं
कई लहजे मिरे लहजे में शामिल हो गए हैं

ख़ुदा के नाम से तूफ़ान में कश्ती उतारी
भँवर जितने समुंदर में थे, साहिल हो गए हैं

वो कुछ पल जिन की ठंडी छाँव में तुम हो हमारे
वही कुछ पल तो जीवन भर का हासिल हो गए हैं

उलझते जा रहे हैं जुस्तुजू के पर मुसलसल
ज़मीं-ता-आसमाँ कितने मसाइल हो गए हैं!

'नबील' आवाज़ भी अपनी कहाँ थी मुद्दतों से
जो तुम आए तो हम यक-लख़्त महफ़िल हो गए हैं

  - Aziz Nabeel

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari