khaak chehre pe mal raha hoon main
aasmaan se nikal raha hoon main
chupke chupke vo padh raha hai mujhe
dheere dheere badal raha hoon main
main ne suraj se dosti ki hai
shaam hote hi dhal raha hoon main
ek aatish-kada hai ye duniya
jis mein sadiyon se jal raha hoon main
raaston ne qabaayein si li hain
ab safar ko machal raha hoon main
ab meri justuju kare sehra
ab samundar pe chal raha hoon main
khwaab aankhon mein chubh rahe the nabeel
so ye aankhen badal raha hoon main
ख़ाक चेहरे पे मल रहा हूँ मैं
आसमाँ से निकल रहा हूँ मैं
चुपके चुपके वो पढ़ रहा है मुझे
धीरे धीरे बदल रहा हूँ मैं
मैं ने सूरज से दोस्ती की है
शाम होते ही ढल रहा हूँ मैं
एक आतिश-कदा है ये दुनिया
जिस में सदियों से जल रहा हूँ मैं
रास्तों ने क़बाएँ सी ली हैं
अब सफ़र को मचल रहा हूँ मैं
अब मिरी जुस्तुजू करे सहरा
अब समुंदर पे चल रहा हूँ मैं
ख़्वाब आँखों में चुभ रहे थे 'नबील'
सो ये आँखें बदल रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aziz Nabeel
our suggestion based on Aziz Nabeel
As you were reading Friendship Shayari Shayari